Showing posts with label Zabt Poetry. Show all posts
Showing posts with label Zabt Poetry. Show all posts

Saturday 9 August 2014

Sukoon-e-zabt ki sab koshishain

Sukoon-e-zabt ki sab koshishain baykaar jati hain
Nazar atay ho ek lamha to pahron dill dharakta hay


Saturday 14 June 2014

Zabbt kahta hay khamoshi say bassar ho jaye

Zabbt kahta hay khamoshi say bassar ho jaye
Dard ki zidd hay sab ko khabar ho jaye



Monday 9 June 2014

Ye zabbt choot gaya to tumhari yaad ayi

Ye zabbt choot gaya to tumhari yaad ayi
Main thak kay toot gaya to tumhari yaad ayi
Tumhary baad na tha koi mera dill kay siwa
Ye dill bhi roth gaya to tumhari yaad ayi



Friday 6 June 2014

Himmat-e-eltija nahi baqi

Himmat-e-eltija nahi baqi
Zabt ka hosla nahi baqi
Ek teri deed chin gai mujh say
Warna dunia main kia nahi baki
Apnay mashq-e-sitam say hath na khainch
Main nahi ya wafa nahi baki


Sunday 20 April 2014

Zabt lazzim hay magar dukh hay to qayamat ka faraz

Zabt lazzim hay magar dukh hay to qayamat ka faraz
Zalim ab kay bhi na roye ga to mar jaye ga