Showing posts with label Ankhain Poetry. Show all posts
Showing posts with label Ankhain Poetry. Show all posts

Saturday 14 April 2018

Wo jo pabandd thi

Wo jo pabannd thi Namazon ki
Uski ankhon nay kharida Kafir


Tuesday 14 February 2017

Labbon ki gufftugo

Labbon ki gufftugo nahi ankhon ka kalaam acha ha
Hussan walon say bas...door ka salaam acha hay



Thursday 26 January 2017

Monday 3 October 2016

Neendon ko tarasty hain

Neendon ko tarastay hain khuwabon kay tamannai
Ek khuwaab ki ankhon nay kia khoob sazza paai...


Tuesday 27 January 2015

Wednesday 8 October 2014

Thursday 2 October 2014

Friday 19 September 2014

Main chupky se uski ankhon pe hath rkh k pchon btao kon?
Wo muskura kar dheemay say kah day "Meri Zindigi"...


Thursday 4 September 2014

Sari Zindagi main

Sari Zindagi main 
Ek Pal to aisa ho
Jo sirf Tumhra or mera ho 
Jis main koi Teesra na ho
Hum dair tak 
Ek Dosray say
Batain kartay chalay jain
Or un baton ko
Sunnay wala
Or Koi na ho
Bas Main or Tum hon
Yunhi Beithay Beithay
Kisi choti si bat pay
Hum be-tahasha hans prain
Hansty hanstay ankhon say Anso nikal prain
Un Ansoon ko saf karnay wala
Or koi na ho
Bas main or Tum hon
Kash Sari Zindagi main



Tuesday 2 September 2014

Laazim to nahi hay

Laazim to nahi hay tumhay ankhon say he deikhon
Kiya tera tassawar teray deedar say kam hay


Friday 22 August 2014

Na zahir howi tum say

Na zahir howi tum say na bayaan howi hum say
Buss suljhi ankhoon me uljhi howi Mohabat


Friday 15 August 2014

Wohi kajal surmay wali ankh

Wohi kajal surmay wali ankh
Wohi gehri kali kali ankh
Janay kiun sehra lagti hay
Wo dard bhari matwali ankh
Surmay main gazzab ki shoukhi thi
Kajal ki dhaar anoukhi thi
Allah! kitna tarsaati thi
Wo har dam jhuknay wali ankh
Us shakhs pay jab wo marti thi
Kehnay say phir kiun darti thi



Saray jazbay teri chahat kay

Saray jazbay teri chahat kay deikhai detay
Kash, ankhon main kahin dill bhi dharakta hota



Saturday 9 August 2014

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay
Teri zulfon ka ye badal bara anmol lagta hay
Bara masoom sa hay ye tere chehray ka bhola pann
Tera wo shok chanchal dil bara anmol lagta hay


Sunday 3 August 2014

Lagti hay jin kay dill par

Lagti hay jin kay dill par, wo ankhon say nahi rotay
Jo apnon kay hi na ho paaye, wo kisi kay nahi hotay



Tuesday 8 July 2014

Bari bay lagaam si ho gain hain meri ankhain

Bari bay lagaam si ho gain hain meri ankhain
Teri deed kay musalsal bahanay dhondhti hain



Sunday 6 July 2014

Me tujh ko jaagti ankhon say

Me tujh ko jaagti ankhon say cho sakon na kabhi
Meri anna ka bharam rakh lay meray khuab may aa


Thursday 3 July 2014

Ankhon say teri chann kay barastay hain ujaalay

Ankhon say teri chann kay barastay hain ujaalay
Jaisay kay darichay say sehar jhaank rahi hay



Thursday 26 June 2014