Showing posts with label Aayina Poetry. Show all posts
Showing posts with label Aayina Poetry. Show all posts

Sunday 12 March 2017

Teri tareef agar

Teri tareef agar aayina b hi kray 
Toor don main usay dil ye mera kray


Wednesday 8 March 2017

Aayinay bhi tumhay

Aayinay bhi tumhay tumhari khabar nahi day saktay
Ao deikho hmari nighahon say tum kitne haseen ho


Tuesday 27 January 2015

Aayinay bhi tumhain tumhari khabar

Aayinay bhi tumhain tumhari khabar na day sakain gain
Aao deikho meri nigahon main kitnay haseen ho tum


Wednesday 15 October 2014

Apne andaaz aayinay main

Apne andaaz aayinay main dekhtay hain wo
Aur yeh bhi dekhtay hain koi dekhta na ho


Friday 27 June 2014

Qayammat hay tera yun ban sanwar kay

Qayammat hay tera yun ban sanwar kay saamnay ana
Hamaray dill ko choro aayinay pay kia guzarti hogi



Monday 23 June 2014

Zindagi ka raaz tanhaayi mein paa liya

Zindagi ka raaz tanhaayi mein paa liya
Jis ka gham mila apna banna liya
Humara gham sunnay ko jab koi na mila
Saamnay rakha aayina aur khud ko suna diya 


Sunday 25 May 2014

Andaaz apna deikhtay hain aayinay main wo

Andaaz apna deikhtay hain aayinay main wo
Zulfain sanwaar kay kbhi zulfain bakhair kay


Friday 23 May 2014

Kia koi nai baat nazar ayi hay hum main

Kia koi nai baat nazar ayi hay hum main
Aayina humay deikh kar hairan saa kiun hay



Thursday 1 May 2014

Raiza raiza hay mera akks to hairat yeh hay

Raiza raiza hay mera akks to hairat yeh hay
Mera aayina salammat hay to toota kia hay



Thursday 24 April 2014

Wo aayinay ko bhi hairat main daal deta hay

Wo aayinay ko bhi hairat main daal deta hay
Kisi kisi ko KHUDA ye kamaal deta hay



Wednesday 2 April 2014

Main to fanna ho gaya

Main to fanna ho gaya naqaab main us ki ankhain deikh kar
Na janay wo shakhs rooz aayina kaisay deikhta hoga



Friday 21 March 2014

Baar baar aayinay main khud ko deikh kar

Baar baar aayinay main khud ko deikh kar
Kiun meri ek'loti mohabbat ko nazar lagati ho


Friday 14 March 2014

Teray deedar kay talabgaar

Teray deedar kay talabgaar to bhohat hongay magar Abbas
Deikhay to jisay jee bhar kay hasil ye muqaam faqat aayinay ko hoga


Monday 10 March 2014

Akks to mujood tha par akks tanhai ka tha

Akks to mujood tha par akks tanhai ka tha
Aayina to tha magar us main tera chehra na tha



Tuesday 25 February 2014

Aayinay main wo deikh rehe thay Bahar-e-Hussan

Aayinay main wo deikh rehe thay Bahar-e-Hussan
Aya mera khayaal to sharmaa kay rah gaye