Showing posts with label Muskurahat Poetry. Show all posts
Showing posts with label Muskurahat Poetry. Show all posts

Friday 9 June 2017

Uski masomiyat main



Uski masomiyat main itna assar tha
Kharid li us nay aik muskan main zindagi hmari


Kaheen cheeni hogi

Kaheen cheeni hogi kisi say tu hansi tu nay
Warna musalsal muskurana kisay naseeb hota hay


Thursday 6 October 2016

Tanhaiyon main muskurana

Tanhaiyon main muskurana ishq hay
Ek baat ko sab say chupana ishq hay
Yun to neend nahi ati hmy raat bhar
Magar sotay sotay jagna or jagtay jagtay sona hi ishq hay


Tuesday 26 May 2015

Muskurahat un ki aisi haaye

Muskurahat un ki aisi haaye, kay qabu na kar paye hum
Haath say jana dill ka, rooh ka ho jana un ka



Friday 23 January 2015

Wednesday 15 October 2014

Friday 19 September 2014

Main chupky se uski ankhon pe hath rkh k pchon btao kon?
Wo muskura kar dheemay say kah day "Meri Zindigi"...


Thursday 11 September 2014

Kisi ek say karo piyaar itna

Kisi ek say karo piyaar itna
Kay kisi aur say piyar krny ki gunjaish na rahay
Wo muskura day ap ko deikh kar ek baar
Toh zindagi say phir koi khuaish na rahay


Tuesday 26 August 2014

Sun kar tamaam raat

Sun kar tamaam raat meri Dastan-e-Gham
Wo muskura kay bolay bhohat boltay ho tum




Tuesday 8 July 2014

Meri zeesst ka hay ye qissa purana

Meri zeesst ka hay ye qissa purana
Tumhain yaad karna, nahi bhool pana
Meray paas a kay tera muskurana
Nazar say guzar kar, jigar main samanna
Ye ghazlain, kitabain, ye yaron ki mehfil
Tujhay bhool panay ka hain ik bahana
Na sun na kabhi bhi mere dil ke nalay
Akelay main meri ghazal gungunana
Muhabbat ki khatir, zamanay say larna
Zamanay ki khatir, muhabbat bhulana


Saturday 14 June 2014

Suna hay rait par chal kar tum aksar muskuratay ho

Suna hay rait par chal kar tum aksar muskuratay ho
Kaho to ab ki baar main zameen ki dhool ban jaon


Friday 23 May 2014

Un k Andaz-e-Karam,us pay wo ana dil ka

Un k Andaz-e-Karam,us pay wo ana dil ka
Haye wo waqt, wo batain, wo zamana dil ka
Na suna usnay tawajjo say fasana dil ka
Umar guzri par dard na jana dill ka
Dill lagi, dill ki lagi ban k mita deti ha
Rog dushman ko bi ya RAB na lagana dill ka
Wo bi apne na howy dil bi gaya hathon say
Asay apnay say to behtar tha na aana dil ka
Unki mehfil main "Parveen" un k tabassum ki Qasam
Hum dekhtay rah gaye hath say jana dil ka



Monday 12 May 2014

Tabbassam hay wo honton par

Tabbassam hay wo honton par jo dill ka kam kar jaye
Unhay es ki nahi parva koi marta hay mar jaye



Saturday 3 May 2014

Meri khushi kay lamhay mukhtassar hain es qaddar

Meri khushi kay lamhay mukhtassar hain es qaddar
Guzar jatay hain meray muskuranay say pehlay



Jab bhi wo muskura kay baat karta hay

Jab bhi wo muskura kay baat karta hay
Mujhay apnay dill ki fikar lag jati hay


Thursday 1 May 2014

Sunday 27 April 2014

Aik main hi nahi jurm-e-mohabbat ka khatta war

Aik main hi nahi jurm-e-mohabbat ka khatta war
Halka sa tabassum bhi to shamil tha udhar say


Wednesday 23 April 2014

Ye sach hay us nay talluq torra to muskuraton kay sath

Ye sach hay us nay talluq torra to muskuraton kay sath
ye bhi sach hay loog kahtay hain ab wo hansa nahi


Monday 21 April 2014

Haya say sar jhuka lena

Haya say sar jhuka lena, adda say muskura dena
Haseenon ko bhi kitna sahal hay bijli gira dena