Showing posts with label Wada Poetry. Show all posts
Showing posts with label Wada Poetry. Show all posts

Sunday 28 September 2014

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha
Door rah kar tujhay kuch aur bhi ziada chaha
Yaad ayi hay teri aur bhi shiddat say humain
Bhool jaanay ka tujhay jab bhi iraada chaha


Wednesday 16 July 2014

Kabhi sath denay k waday

Kabhi sath denay k waday, kabhi bhool janay ki qasmain
Mujhay aj tak pata na chala K tu majboor hay ya maghror


Sunday 25 May 2014

Wohi sochain wohi batain wohi andaaz ab bhi hay

Wohi sochain wohi batain wohi andaaz ab bhi hay
Boht baychain lagtay ho koi to raaz ab bhi hay
Main kaisay uski yaadon or waadon say nigah phairon
Wo mujh say dor rehnay wala mera hamraaz ab bhi hay
Ye tum ho jo is taalluq par pareshaan ho
Magar is baylous rishtay pay mujhay to naaz ab bhi hay



Friday 23 May 2014

Mera kia haal hay teray bina

Mera kia haal hay teray bina kabhi deikh to lay
Jee raha hoon tera bhoola huwa wada ban kar


Wednesday 7 May 2014

Ye Wada hay hamara na chorain gay kabhi sath tumhara

Ye Wada hay hamara na chorain gay kabhi sath tumhara
Jo gaye tum hum say roth kar lay ayain gay pakr kar hath tumhara


Sunday 9 March 2014

Tumko hum dill main bassa lain gain

Tumko hum dill main bassa lain gain, tum aao to sahi
Saari duniya say chupa lain gain, tum aao to sahi
Ek waada karo ab hum say na bichrro gay  kabhi
Naaz hum saaray utha lain gain tum aao to sahi


Wednesday 5 March 2014

Hum to us ki har khuahish

Hum to us ki har khuahish pori karnay ka wada kar baithay
Humay kia pata humay chorna bhi us ki aik khuahish thi


Wednesday 5 February 2014

Milnay ka Wada un kay mon say to nikal gaya

Milnay ka Wada un kay mon say to nikal gaya 
Poochi jaga to hans kay kaha Khuab main a jaana



Wednesday 15 January 2014

Tere bina ek pal bhi jee nahi sakta

Tere bina ek pal bhi jee nahi sakta
Marna chahon bhi to mar nahi sakta
Tere sath jeenay ka waada kiya hay mainay
Es piyaray say waade say main mukar nahi sakta


Saturday 28 December 2013

Soch kay Ahad-e-Wafa karo Mujh say

Soch kay Ahad-e-Wafa karo Mujh say
Hum ek Waday par umer guzaar detay hain