Showing posts with label Zindagi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Zindagi Poetry. Show all posts

Friday 9 June 2017

Uski masomiyat main



Uski masomiyat main itna assar tha
Kharid li us nay aik muskan main zindagi hmari


Sunday 5 March 2017

Har kisi ko nahi miltaa

Har kisi ko nahi miltaa 
Yahan piyaar zindagi main



Kuch adhoori si hay

 Kuch adhoori si hay hum dono ki zindagi
Ussay sukoon ki talaash hay aur mujhay uski



Monday 22 June 2015

Tujhay piyar karte karte

Tujhay piyar karte karte yunhi umar beet jaye
Karon jo main bewafai mujhay mout bhi na aaye
Jo aitbaar ho to tum say yahi kahain gain
Tere dil main ghar bana kar teri bahon main rahe gain
Tumhe is kaddar main chahu jitna koi na chahay
Tumse shuro hoi hain mere piyar ki kahani
Tum pay nisaar kar don main apni Zindgani
Mera humsafar banay gain teri chahaton k Saaye
Tujhe piyar karte yarte yuhi umar beet jaye
Karu jo main bewafai mujhe mout bhi na aaye



Zinda hay jab tak

Zinda hon jab tak mujh say naraaz mat hona
Marnay k baad tu main khud hi shikayat ka moqa nahi donga


Friday 12 June 2015

Tuesday 27 January 2015

Wednesday 8 October 2014

Saari zindagi rakha hay

Saari zindagi rakha hay Be-Faiz rishton ka barham
Sach pocho to koi bhi apnay siwa apna nahi hota


Friday 19 September 2014

Main chupky se uski ankhon pe hath rkh k pchon btao kon?
Wo muskura kar dheemay say kah day "Meri Zindigi"...


Aay zindagi kuch to bata

Aay zindagi kuch to bata
Kiya hay meri khatta


Thursday 11 September 2014

Kisi ek say karo piyaar itna

Kisi ek say karo piyaar itna
Kay kisi aur say piyar krny ki gunjaish na rahay
Wo muskura day ap ko deikh kar ek baar
Toh zindagi say phir koi khuaish na rahay


Thursday 4 September 2014

Sari Zindagi main

Sari Zindagi main 
Ek Pal to aisa ho
Jo sirf Tumhra or mera ho 
Jis main koi Teesra na ho
Hum dair tak 
Ek Dosray say
Batain kartay chalay jain
Or un baton ko
Sunnay wala
Or Koi na ho
Bas Main or Tum hon
Yunhi Beithay Beithay
Kisi choti si bat pay
Hum be-tahasha hans prain
Hansty hanstay ankhon say Anso nikal prain
Un Ansoon ko saf karnay wala
Or koi na ho
Bas main or Tum hon
Kash Sari Zindagi main



Tuesday 26 August 2014

Kis qadar masoom

Kis qadar masoom, kitni shokh, lakin bay waffa
Hum nay pocha kon, wo ghabra kay bolay zindagi


Tuesday 8 July 2014

Har jakham kisi thokar ki meharbani hay

Har jakham kisi thokar ki meharbani hay
Meri jindagi bas ek kahani hay
Mita detay sannam kay dard ko seenay say
Par ye dard hi uski aakhri nishani hay


Sunday 6 July 2014

Tuesday 1 July 2014

Friday 27 June 2014

Tum nay zindagi ka naam to sunna hoga

Tum nay zindagi ka naam to sunna hoga
Hum nay esi naam say dill main rakha hay tujhay



Monday 23 June 2014

Teri dill faraib Addain meri jaan lay sakti hain

Teri dill faraib Addain meri jaan lay sakti hain
Apna Andaaz-e-Nazar badlo, meri zindagi ka sawal hay


Khubsurat sa ek pal kissa ban jata hay

Khubsurat sa ek pal kissa ban jata hay
Janay kab kon zindagi ka hissa ban jata hay
Kuch log zindagi main miltay hain aisay
Jin say kabhi na tootnay wala rishta ban jata hay


Zindagi ka raaz tanhaayi mein paa liya

Zindagi ka raaz tanhaayi mein paa liya
Jis ka gham mila apna banna liya
Humara gham sunnay ko jab koi na mila
Saamnay rakha aayina aur khud ko suna diya