Love Poetry

Jahan pay ishq ki sarhad junoon say milti hay
Waheen pay aa k mile… wo agar mohabbat hay....


----------
Teray hussan se hi mili hay mujhko yah shohrat
mera zikar hi kahan tha teri dastaan say pehlay


------------------

Nazakkat lay  ke aankhon main, woh us ka dekhna tobaa
Elaahi hum unhain dekhain, k un ka dekhna dekhain…


-------------------

Zindagi tujh say sang-e-ulfat si lagti hay
Ek pal ki judayi muddat si lagti hay
Pehlay nahi ab sochtay hain hum
Har lamha tumhari zarorat si lagti hay


----------------

Uski ankhon main mohabat ka sitara ho ga
Ek din aye ga wo shakhs hamara ho ga
Zindagi ab k mera naam na shamil karna
Gar ye tah hai k yehi khail dubara ho ga...



-----------------

Laa hasil hi sahi magar
Muhabbat tujh say hi hay


--------------

Mere dil nay jab bhi dua mangi hay
Tujhay manga hay teri Wafa mangi hay 
Jis Mohabbat ko deikh k dunia ko rashk aye
Tere piyar karnay ki wo adda mangi hay...


------------------

Anjanay main dill gavan baithay
Is piyar main kaisay dhoka kha baithay
Unsay kya gila karain, Bhool toh hamari thi
Jo bina dil walon say dill laga baithay


---------------

Din, mahinain our salon ka hisaab nahi ata mujhe
Bas hamesha say hamesha tak sath tumhara chahyie...


--------------------

Tm yaad nahi kartay hum bhula nahi saktay
Tm hanssa nahi saktay hum rula nahi saktay
Mohabbat itni khoobsurat hay hamari
Tm jan nahi saktay aur hum bata nahi saktay


-------------

Bheer main aik ajnabi ka saamna acha laga
Sab say chup kar woh kisi ka deikhna acha laga


---------------

Haath main haath un kay yun aaya
Zindagi meray haath lag gai ho jaisay...


------------------


Tera ruthna or mera tujhe manana
pata ha mujhy, pasand hai tujhe mera ye andaaz ashiqana
Jaankar mera dil dukhati ho
kyon apne hussan pay itna itraati ho...


--------------

Adhuri batain jo kar gaye ho
Meray hi dil mein utar gaye ho
Kis ki chahat ka yeh asar hai
K reza reza bikhar gaye ho
Tumhi to ho jo humary dil ki
Hadon ko chhoo k guzar gaye ho
Humara thamo gay haath kiya tum
Abhi zamany say dar gaye ho
Chalay gaye ho nazar jhuka k
Hamein deewana sa kar gaye ho
Bhool bethy ho ehad sary
Abhi se kiun tum mukkar gaye ho
Dhoondti hay ye nazar tum ko
Aa bhi jao, kidhar gaye ho....




------------------

Kehty hain log mujhsay koi aur baat kar
Laoon kahan say baat teri baat ke siwaa


----------------

Har taraf noor hay khushboo hay
Teri ankhon main kaisa jaadu hay
Sari duniya hay meri jholi main
Our duniya meri bus tu hay...


------------------

Khud hi na chupa sakay wo apnay chahray ko naqaab main
Bay waja hamari ankhon pay ellzaam a gaya...




------------------

Issi Omeed par teri aankhon main jhaankta Hon Main
Kahin milay wo samandar jo mujhay lay Doobay…






---------------------

Phir aaj mujhy tmko itna hi btana hay
Hansna hi jeevan hai hansty hi jana hay
Jeevan ki rahoon se khushyon ko churana hay
Kanton main ulajh kar bhi khushbo hi lutana hay
Hansna hi jeevan hai hansty hi jana hay...


----------------------

Umeedon ke saharay jee kar khud ko dhoka deta hoon
Teri yaad mein jal kar rooh ko azziyat deta hoon
Parwaah nahin karta koi kya samajhta hai mujhe
Koi maange nafrat bhi, Tou mohabbat lazawaal deta hon
Har baar ishaarey deti hai woh judai kay
Har baar mein muskuraa ke taal deta hoon
Aa chal thaam lay ab tu mera hath
Tere naam ko main apna naam deta hoon...


-------------


Kiun Chupaatay Ho Sani Kiun Inkaar Kartay  Ho 
Tumhari Aankhain Kehti Hain Tum Bhi Pyar Kartay Ho.....


----------------

Kaash kisi udas mosam ki shaam may
Meri ankhon pay wo hath rakh day apnay
or hanstay huway kah day
Pahchaan lo to hum tmhary
Na pahchaano to tum hmaray...


------------------

Kion hamesha kisi ki talaash hoti hay
Yun dil ko kisi ki aas hoti hay
Chand ko dekho wo bhi tanha hay
Phir bhi chandni say roshan uski raat hoti hay...


--------------

Hay aks muyassar tera, jis simt bhi deikhon
Kya har koi tum sa hay ya sara jahaan tum ho


--------------


Teri mohabbat say lay kar teray
Alvidaa kahnay tak
Mainay sirf tujhay chaha
Tujhsay kuch nahi chaha.....





-------------------
Kaha uss nay
Kya hadd hay teri mohabbat ki
kaha main nay
suno! a jana
Mohabbat ki koi hadd nahi hoti
Jo haddon me rah kar ki jaaye
wo Mohabbat nahi hoti ...


------------------
Tere Pyar Main Do Pal Ki Zindagi Bahut Hay
Ek Pal Ki Hansi Aur Ek Pal Ki Kushi Bahut Hay
Ye Dunia Mujhay Janay Ya Na Janay
Teri Ankhain Mujhay Pehchanay Yahi Bahut Hay...




--------------------

My heart is, and always will be, yours
Kab tak raho gay akhir yun door door hum say
Milna pare ga akhir ek din zaror hum say
Daman bichaanay walay  ye bay rukhi hay kaisi
Keh do agr huwa hay koi kasoor hum say
Hum cheen lengay tum say  ye shaan-e-bay niyazi
Tum mangtay phiro gay  apna garoor hum say...


-----------------


Us ki chahat ki chandni ho gi
Khoobsorat si zindagi ho gi
Ek larki bohat say phool liye
Dil ki dehleez par khari ho gi
Chahay jitnay charagh gul kar do
Us kay ghar roshni to ho gi
Neend tarsay gi meri ankhon may
Jab bhi khawbon say dosti ho gi...


-------------


There was no one but you
I have not seen any one like you
Who loved me more than love
With never ending care from you
I began to love you
With hundreds of reasons
You will not believe it
How much i need you 
Neither i can explain
Nor i can show it
I urge to have it
Till last i breathe
I will love you...


----------------

Meray pukhtaa eraday khud meri Taqdeer badlay gain
Meri Qismat nahi mohtaaj haatho ki lakeero ki...


----------------

Ek ehsaas bilkul teri adda ka tha
Bahir nikal kar deikha to jhonka hawa ka tha
Zindagi ki har mushkil say main takkra gaya
Sahara mujhe faqat teri Dua ka tha...


-----------------

Hum khud say bicharr jain alag baat hay lakin
Kab raas humain us ki rafaaqat nai aayi...


-------------

Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra
Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra
Mujhe ye chandni raatein buhat bekaaif lagti hain
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra
Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra...


----------------

Mohabbatain or bhi barh jati hain juda honay say
Tum sirf meri ho es baat ka khayal rakhna...


---------------

Chehray pay teray jab chand ka haala dekha
Sham kay pahlo main chamkta howa ujala dekha
Woh mera jab raat ko lout kar ghar ko anaa
Apnay angan ko teray hussan ka rakhwala dekha
Phool kaliyoun nay bhi gulshan main kia charcha tera
Hum nay har mousam ko teray roop ka matwala dekha...


-------------

Manga hay tujhay rab say ke ab zidd hay mujhay yeh kab say
Sab say agay, awwal-o-akhir hay meri zaroraton main sab say


--------------

Jazbba-e-ishq sacha na hota to rasta badal letay
Mere raston ka guzar tum say tum he tak hay...


-------------

Bassa k khud ko meri ankhon may kahan chalay tum
Ye shahar.e.Ishq hay yahan hijjrat ki ejazzat nahi...


----------------

Gar baazi ishq ki baazi hay jo chaho laga do dar kaisa
Gar jeet gaye to kia kehna, haray bhi to baazi maat nahi...


--------------

Uskay sath rehtay rehtay
Uski chahat si ho gayi hay
Usse baat kartay kartay
Mujhe uski aadat si ho gayi Hay
Ek pal na milay toh bechani si lagti hay
Dosti nibhatay nibhatay
Usse Mohabbat si ho gayi hay...


-------------

Kashish, aqeeddat, yaad ya phir muhabbat
Kuch to hay jo tum ko sochna acha lagta hay 


--------------
Dheeray say sarakkti hay raat us kay anchal ki tarah
Uska chehra nazar aata hay jheel main kanwal ki tarah...


-------------------
Urooj par hay tumhara mousam
Khizan main tum ko khareed lain Gain
Bano gay hum say raham k talib
Na tum ko moqa mazeed dain gain
Adaa k qissay huway puranay
Jafa ka mousam khatm hi samjho
Karain gain tum say hisaab Jana
Na tum ko mohllat mazeed dain gain.....


-------------


Lag na jaye kahin betaab sitaroon ki nazar 
Chand say chehray ko anchal mai chupa k sona...


----------------

Haye mera DIL...
Suna hay wo larki gussay main Har cheez torr deti hay
Hamara to dil hay us k paas
Khuda khair Karay...


-------------

Jese guzri ho abhi tu meray darwaazay say
Ab hawa bhi teri payal ki khannak lagti hay...



------------

Har tareekay say bhulana chaha, magar haal ye huwa
Har khayal say paida, tera khayal huwa...


------------

Raat hogi tu chaand duhayi dega
Khwabon main ap ko wo chehra dekhayi dega
Yai mohabbat hay zara soch kay karna
Ek ansu bhi gira tu sunayi dega...


-----------

Churao nazrain churrao daman
Badal k rassta barhao uljhan
Tumhain duaon say phir bhi ham nay
Jo pa liya to kiya karo gay...





















No comments: