Showing posts with label Izhaar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Izhaar Poetry. Show all posts

Wednesday 8 February 2017

Milega na tumhay koi

Milega na tumhay koi is zameen par
Ye saray nishanay laga do hami par
Hamay bhol jana bhale tum kbhi bhi
Par shak na karna hamaray yaqeen par
Kisi ki nazar na lag jaye tum ko
Ye dunia ki nazrain lagi hain tumhi par
Mohabat main haan hi zaroori nahi hay
Main ashiq bana hon tumhri nahi par


Tuesday 7 July 2015

Har shaks say ulfat ka

Har shaks say ulfat ka iqraar nahi hota
Har chehray se kabhi dil ko pyar nahi hota
Jo rooh ko choo jaye, jo dil mai utar jaye 
Us ishq ka lafzo main kabhi izhaar nahi hota


Friday 15 August 2014

Wohi kajal surmay wali ankh

Wohi kajal surmay wali ankh
Wohi gehri kali kali ankh
Janay kiun sehra lagti hay
Wo dard bhari matwali ankh
Surmay main gazzab ki shoukhi thi
Kajal ki dhaar anoukhi thi
Allah! kitna tarsaati thi
Wo har dam jhuknay wali ankh
Us shakhs pay jab wo marti thi
Kehnay say phir kiun darti thi



Friday 30 May 2014

Monday 12 May 2014

Ek haseen larki ki chahat nay

Ek haseen larki ki chahat nay
Mujhay apna aap bhula diya
Kiya jab ezhaar-e-ishaq unhon nay
May nay hosh apna ganwwa diya
Ye soch kar he maghroor ho jata hon ahsan
Kay main nay tujhay apna bana liya


Sunday 27 April 2014

Sunday 6 April 2014

Teri har ada mohabbat c lagti hay

Teri har ada mohabbat c lagti hay
Ek pal ki judai sadiyo'n c lagti hay
Pehlay nhi socha tha pr ab sochnay laga hoon
Zindagi k har lamhay main teri zarurat c lagti hay


Friday 4 April 2014

Dil ki baat

Dil ki baat kheta hon bura to na mano gay
Barri rahat ka din thay teri pehchan say phalay


Khayaal tera to saans jaisa hay

Khayaal tera to saans jaisa hay
Ye na aye to mar na jaon main


Dil ki baat

Dil ki baat kheta hoon bura to na mano gay
Barri rahat k din thay teri pehchan se phelay


Wednesday 2 April 2014

Kasoor to tha in nigahon ka

Kasoor to tha in nigahon ka
Jo chupkay say unka deedar kar bethi
Hum nay to khamosh rehnay ki qasam khai thi
Par baywafa zubaan Izhaar kar bethi



Friday 14 March 2014

Humay Izahaar karna nahi aaya

Humay Izahaar karna nahi aaya 
Unhay Piyaar karna nahi aaya 
Hum bas deikhtay hi rah gaye 
Aur waqt ko thamna nahi aaya 
Wo chaltay chaltay itne door chale gaye 
Humay rokna bhi nahi aaya