Showing posts with label Manzil Poetry. Show all posts
Showing posts with label Manzil Poetry. Show all posts

Tuesday 31 January 2017

Mujhay khaamosh raahon main

Mujhay khaamosh raahon main tera sath chahiye
Tanha hay mera haath tera haath chahiye


Friday 20 January 2017

Kash tu ek qaddam

Kash tu ek qaddam meri taraf barha deta
Main apni sabhi manzilain teri dehleez say mila deta...


Sunday 15 June 2014

Ek chand tanha khara raha

Ek chand tanha khara raha
Meray asmaan say zara paray
Meray sath sath safar main tha
Meri manzilon say zara paray
Teri jusstuju kay hisaar say
Teray khawab teray khayal say
Mein Wo shaks tha jo khara raha
Teri chahaton say zara paray



Friday 23 May 2014

Wednesday 14 May 2014

Raastay kaha khatam hotay hay

Raastay kaha khatam hotay hay zindagi kay safar main
Manzil to wahi hay jahan khuhishain tham jain


Monday 12 May 2014

Saathi ho agar tum sa

Saathi ho agar tum sa, manzil ki tamanna kia
Hum ko safar piyara, manzil ka KHUDA hafiz



Wednesday 7 May 2014

Kbhi taqdeer ka mattam

Kbhi taqdeer ka mattam kbhi mahboob say shikwa
Aye Manzil-e-Mohabbat teray har morr pay rona aya


Hum wo anna parast hain

Hum wo anna parast hain, jo har kar bhi ye kahtay hain
Wo manzil hi badnaseeb thi, jo humay paa na saki



Friday 14 March 2014

Yun chor kay raastay main na jaya karosaathi

Yun chor kay raastay main na jaya karo saathi
Kuch musaafiron ki manzil, humsafar hoti hay




Saturday 1 March 2014

Sawal kuch bhi ho

Sawal kuch bhi ho
Jawab tum hi ho
Rasta koi bhi ho
Manzil tum hi ho
Dukh kitna hi ho
Khushi Tum hi ho
Armaan kitna bhi ho
Aarzoo tum hi ho
Gussa kitna bhi ho
Piyar tum hi ho
Khuwab koi bhi ho
Us main tum hi ho
kyun kay tum hi ho
Ab tm hi ho
Meri ashiqi ab tum hi ho


Saturday 22 February 2014

Manzil ki baat choro kis nay payi manzilain

Manzil ki baat choro kis nay payi manzilain
Ek safar acha laga ek Humsafar acha lagaa



Wednesday 15 January 2014

Log har Manzil ko mushkil samjhte hain

Log har Manzil ko mushkil samjhte hain
Hum har mushkil ko Manzil samjhte hain
Bada fark hay logon main or hum main
Log Zindagi ko dard our hum dard ko Zindagi samjhte hain


Tuesday 7 January 2014

Ajab pehali hay ye hathon ki lakeeron main

Ajab pehali hay ye hathon ki lakeeron main 
Safar likha hay,magar rasta nahi likha


Sunday 29 December 2013

Chale hain Ishq ki rah par to sadaain kiun dain

Chale hain Ishq ki rah par to sadaain kiun dain
Manzil milay na milay hum musafiro ko
Apne Ishq ko gum naam si hawain kiun dain
Ab lot kar tere pas a hi nahi saktay
Phir shaihar bhar may tere ki duhai kiun dain


Thursday 26 December 2013

Bas aik Qaddam utha tha ghalat Rah-e-Shouq main

Bas aik Qaddam utha tha ghalat Rah-e-Shouq main
Manzil tamaam umer mujhay dhondhti rahi


Tuesday 24 December 2013

Manzilain un ko milati hain jin ka shevaa ho faraib

Manzilain un ko milati hain jin ka shevaa ho faraib
Hum nay to Dastan-e-Sadaqat main luta di apni Zindagi


Sunday 15 December 2013

Wafa esko nahin kahtay, Wafa kuch aur hoti hay

Wafa esko nahin kahtay, Wafa kuch aur hoti hay
Mohabbat karnay walon ki, Adda kuch aur hoti hay
Tumhara Piyar hay hasil KHUDA say, ab main kia mangoun
Kay es Daulat say barh kar bhi bhala kuch aur hoti hay


Sunday 8 December 2013

Safar kay akhri Manzil pay sath chorr gaya

Safar kay akhri Manzil pay sath chorr gaya
Wo meray Piyar ki shiddat say dar gaya


Friday 29 November 2013

Tumhari ankh say dill tak safar karna hay bas hum ko

Tumhari ankh say dill tak safar karna hay bas hum ko
Ye kitni khoobsurat Manziloun ka raasta ho ga....