Showing posts with label Taqdeer Poetry. Show all posts
Showing posts with label Taqdeer Poetry. Show all posts

Thursday 2 October 2014

Muje bikhra hi rahnay do

Muje bikhra hi rahnay do meray muqqadar ki trah
Main koi teri zulf tu nahi jo sanwwar jaon ga



Thursday 4 September 2014

Kal tak tha ahsaas kisi kay honay ka

Kal tak tha ahsaas kisi kay honay ka
Aj hay sirf dard us ko khonay ka
Hum dono ka nahi tha qasoor es main
Taqdeer ka faisla tha juda honay ka


Friday 27 June 2014

Phir aisa kuch huwa

Phir aisa kuch huwa kay samjh main nahi aya
Dil mil gaye hamaray lakin muqaddar na mil sakay


Wednesday 11 June 2014

Hum bhi mojood thay taqdeer kay darwazay par

Hum bhi mojood thay taqdeer kay darwazay par
Logon nay dollat ki tamanna ki hum nay tumhay mang liya


Sunday 8 June 2014

Kuch haar gai taqdeer

Kuch haar gai taqdeer, kuch toot gaye sapnay
Kuch ghairon nay kia barbaad, kuch chor gaye apnay



Tuesday 13 May 2014

Us k hath ki kash me wo lakeer ban jaon

Us kay hath ki kash main wo lakeer ban jaon
Kash main uska muqqadar uski taqdeer ban jaon
Main usay itna chahon k wo bhool jaye har rishta
Sirf main hi us k har rishtay ki tasveer ban jaon
Wo aankhain band karay to aaon main hi nazar
Es tarha main us kay har khuawab ki tabeer ban jaon


Saturday 10 May 2014

Har wakt milti rahti hay mujhay anjani si saza

Har wakt milti rahti hay mujhay anjani si saza
Main taqdeer say kaisay pochon kay mera qasoor kia hay


Wednesday 7 May 2014

Kbhi taqdeer ka mattam

Kbhi taqdeer ka mattam kbhi mahboob say shikwa
Aye Manzil-e-Mohabbat teray har morr pay rona aya


Sunday 23 March 2014

Hairaan ho jao gay apni kismat par

Kash kay tum samajh jao meray mohabbat ki intiha ko
Hairaan ho jao gay apni kismat par 


Chor diya hum nay aitbaar

Chor diya hum nay aitbaar qismat ki lakeeron pay wasi
Jo dillon main bas jain wo lakeeron main nahi mila kartay


Friday 21 March 2014

Us kay hathon main hina,paaon main Payal hogi

Us kay hathon main hina,paaon main Payal hogi
Aik deewar magar beach main hayal hogi
Us kay jalwoon kay bhohat pass main honga
Lakin wo kisi Or ki taqdeer ka hasil hogi
Surkh kaproon say sajay tar na meray hongay
Us ki ankhoon main meray Piyar ki jhilmil hogi
Jatay jatay wo mujhay piyaar say deikhay gi jab
Rotay roaty wo meri roh main shamil hogi
Mujh say wo door bhohat door chali jaye gi
Ya kahani bhi Sara-e-Bazzam mukammal hogi