Showing posts with label Kajal Poetry. Show all posts
Showing posts with label Kajal Poetry. Show all posts

Thursday 11 September 2014

Es trah phaila huwa kajal

Es trah phaila huwa kajal
Matlab... main ab bhi yaad ata hon



Friday 15 August 2014

Wohi kajal surmay wali ankh

Wohi kajal surmay wali ankh
Wohi gehri kali kali ankh
Janay kiun sehra lagti hay
Wo dard bhari matwali ankh
Surmay main gazzab ki shoukhi thi
Kajal ki dhaar anoukhi thi
Allah! kitna tarsaati thi
Wo har dam jhuknay wali ankh
Us shakhs pay jab wo marti thi
Kehnay say phir kiun darti thi



Paas jab tak wo rehay dard thama rahta hay

Paas jab tak wo rehay dard thama rahta hay
Phailta jata ha phir ankh kay kajal ki trah 


Saturday 9 August 2014

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay
Teri zulfon ka ye badal bara anmol lagta hay
Bara masoom sa hay ye tere chehray ka bhola pann
Tera wo shok chanchal dil bara anmol lagta hay


Sunday 27 April 2014

Kajal nay teri ankh ka jadu jaga diya

Kajal nay teri ankh ka jadu jaga diya
Nazrain milaaye tujh say ye kis ki majaal hay



Sunday 20 April 2014

Ye laali, Ye Kajal our Zulfain bhi khuli khuli

Ye laali, ye kajal our zulfain bhi khuli khuli
Tum yonhi jaan mang letay, itna ehtamaam kiun kiya