Showing posts with label Masoom Poetry. Show all posts
Showing posts with label Masoom Poetry. Show all posts

Friday 9 June 2017

Uski masomiyat main



Uski masomiyat main itna assar tha
Kharid li us nay aik muskan main zindagi hmari


Thursday 26 January 2017

Tujh say faisla na rakhti

Tujh say faisla na rakhti to kiya karti
Tu muddatton ka tharki main masoom si larki




Tuesday 26 August 2014

Kis qadar masoom

Kis qadar masoom, kitni shokh, lakin bay waffa
Hum nay pocha kon, wo ghabra kay bolay zindagi


Saturday 9 August 2014

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay
Teri zulfon ka ye badal bara anmol lagta hay
Bara masoom sa hay ye tere chehray ka bhola pann
Tera wo shok chanchal dil bara anmol lagta hay


Thursday 3 July 2014

Dill ka masoom sa kaghaz hay abhi tak koraa

Dill ka masoom sa kaghaz hay abhi tak koraa
Agar ejazzat ho to main naam tumhara likh don



Sunday 8 June 2014

Kuch bhi ho main elzaam tumhay hi don ga

Kuch bhi ho main elzaam tumhay hi don ga
Tum masoom bhohat ho magar toba tumhari ankhain



Friday 30 May 2014

Ek pal main jo barbaad kar detay hain

Ek pal main jo barbaad kar detay hain dill ki basti ko Faraz
Wo log deikhnay main aksar masoom hotay hain


Wednesday 7 May 2014

Aik pall main barbaad kar detay hain

Aik pall main barbaad kar detay hain jo dil ki basti ko
Wo loog deikhnay main kitnay masoom lagtay hain


Monday 5 May 2014

Kitni masoom ho

Kitni masoom ho, nazuk ho hamaqat na karo
Baarha tum say kaha tha mohabbat na karo



Saturday 3 May 2014

Thursday 1 May 2014

Maang liye hain teri zindagi kay

Maang liye hain teri zindagi kay sabhi dukh ye kah kar
Ya RABB wo bhohat masoom hay us ki hifazzat karna



Monday 10 March 2014

Kis qadar Masoom sa chehra tha us ka ghalib

Kis qadar Masoom sa chehra tha us ka ghalib
Dheeray say jaan kah kar bay jaan kar diyaa



Saturday 1 March 2014

Mujh ko Masoom si larki par tars ataa hay

Mujh ko Masoom si larki par tars ataa hay
Es ko deikho to mohabbat main maggan kaisi hay


Dill-e-Masoom pay teray qatilana humlay

Dill-e-Masoom pay teray qatilana humlay
Apni Addaoun say kaho zara lihaaz krain


Aye KHUDA us kay aik aik lamhay ki hifazzat karna

Aye KHUDA us kay aik aik lamhay ki hifazzat karna
Masoom sa chehra hay udaas ho to acha nahi lagta