Showing posts with label Iqraar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Iqraar Poetry. Show all posts

Wednesday 1 March 2017

Inkaar jaisi lazzat

Inkaar jaisi lazzat iqraar main kahaan
Barhta raha ishq ghalib, uski nahi nahi say..


Tuesday 7 July 2015

Har shaks say ulfat ka

Har shaks say ulfat ka iqraar nahi hota
Har chehray se kabhi dil ko pyar nahi hota
Jo rooh ko choo jaye, jo dil mai utar jaye 
Us ishq ka lafzo main kabhi izhaar nahi hota


Thursday 2 October 2014

Us ki chahat kay do lamhay

Us ki chahat kay do lamhay jaan lewa thay
Pehla mohabbat ka iqrar dusra mohabbat say inkar


Friday 27 June 2014

Iqraar kay muqaam say pehlay

Iqraar kay muqaam say pehlay muqqar gaya
Takraar kar raha tha, mohabbat kay bawajood



Wednesday 7 May 2014

Jaisi hay teri tamanna waisay piyaar krain gain

Jaisi hay teri tamanna waisay piyaar krain gain
Har dhadkan par apni wafa ka Ikraar krain gain
Jaha bhi jao gay har qaddam humay hi pao gay
Ishq kay har morr par tera intezaar krain gain



Tuesday 25 March 2014

Wo anna parast sahi uski baton main ikrar bhi tha

Wo anna parast sahi uski baton main iqraar bhi tha
Uskay chubhtay huway lahjay main chupa piyar bhi tha
Wo mujhay likhta hay k muntazir na rahon lekin
Us ki tehreer main sadiyon ka intizar bhi tha
Wo kehta hay mat rutho kay mananna nahi ata
Meri narazgi pay lekin wo bay qaraar bhi tha


Thursday 6 March 2014

Sirf lafzon say iqraar hota nahi

Sirf lafzon say iqraar hota nahi
Ek janib say hi piyaar hota nahi
Main tumhain yaad rakhnay ki khaon kasam
Tum mujhko na bhulanay ka wadda karo