Showing posts with label Friendship Poetry. Show all posts
Showing posts with label Friendship Poetry. Show all posts

Tuesday 8 July 2014

Teri dosti hi meri jaan hay

Teri dosti hi meri jaan hay
Shayad ess haqiqqat say tu anjaan hay
Mujhay khud nahi pata main kon hon
Kiun kay teri Dosti mi Meri pehchaan hay


Saturday 10 May 2014

Aadatain mukhtalif hain hamari duniya walon say dost

Aadatain mukhtalif hain hamari duniya walon say dost 
Rabta thora he sahi par dil se rakhty hain



Monday 5 May 2014

Naram lafzon say bhi lag jati hain chotain aksar

Naram lafzon say bhi lag jati hain chotain aksar
Dosti ek barra nazzuk sa hunnar hay



Saturday 26 April 2014

Yaad rakhtay hain

Yaad rakhtay hain hm aj bhi tmhain pehly ki trah apni duaon my A "Dost"
Kon kahta hay Faslay doston ki yaad mitta detay hain





Thursday 27 March 2014

Chaand say dosti

Chaand say dosti, raat bhar jagna asmaan par kisi akks ko dhondna
Din main bhi raat ka samma bandhna, apna hay in dino bas yahi mushghala


Sunday 23 March 2014

Milay uljhanon say fursat to zara dill say poch lena

Milay uljhanon say fursat to zara dill say poch lena 
Kia dosti yahi hay sirf furssaton main yaad karna


Saturday 22 March 2014

Ek tamanna thi jo hasrat ban gai

Ek tamanna thi jo hasrat ban gai
Kabhi dosti thi ab mohabbat ban gai
Kuch is terha shamil huway tum zindagi main
Kay Tujh ko sochtay rehna meri addat ban gai


Wednesday 19 March 2014

Har Khushi say khobsorat teri shaam kar don

Har Khushi say khobsorat teri shaam kar don 
Apna Piyaar our dosti teray naam kar don 
Mill jaye agar dubara yeh Zindagi 
Har baar may yeh Zindagi teray naam kar don



Monday 3 March 2014

Mayoos ho gaya hoon main Zindagi kay es safar say

Mayoos ho gaya hoon main Zindagi kay es safar say
Maqsad ki mohabbat our matlab ki Dosti



Tuesday 7 January 2014

Kahi Andheray to kahin sham hogi

Kahi Andheray to kahin sham hogi
Meri har khushi Dosti kay naam hogi
Kuch maang kay to deikho Dost
Honthon pay hansi aur hatheli pay jaan hogi


Sunday 5 January 2014

Dost nain Dost saykKaha Dosti ka matlab kiya hota hay

Dost nain Dost saykKaha Dosti ka matlab kiya hota hay
Dost nain muskura kar kaha jahan matlab ho wahan Dosti nahi hoti




Friday 3 January 2014

Muskaan tere hothon pay to Khushi meray dill main hoti hay

Muskaan tere hothon pay to Khushi meray dill main hoti hay
Agar dard tere dill ko ho to Aankhein meri roti hain
Tu mehsuos kar kay deikh dost, DOSTI aisi hi hoti hay...


Saturday 28 December 2013

Hoti nahe dosti soorat say

Hoti nahe dosti soorat say
Dosti to dil say hoti hay
Soorat unki khud hi piyari lagti hay
Qadar jinki dill main hoti hay


Thursday 26 December 2013

Usay kahna kay palkon par na tankay khuab ki jhalarr

Usay kahna kay palkon par na tankay khuab ki jhalarr
Samandar kay kinaray ghar bana kar kuch nahi milta
Ye acha hay k appas kay bharam na tootnay payain
Kbhi bhi doston ko aazma kar kuch nahi milta



Sunday 8 December 2013

Kyun mushkilon main Sath detay hain Dost

 Kyun mushkilon main Sath detay hain Dost
Kyun gham ko baant letay hain dost
Na rishta khoon ka na riwaaj say bandha
Phir bhi Zindagi bhar saath dete hain Dost


Friday 25 October 2013

Uskay sath rehtay rehtay

Uskay sath rehtay rehtay
Uski chahat si ho gayi hay
Usse baat kartay kartay
Mujhe uski aadat si ho gayi Hay
Ek pal na milay toh bechani si lagti hay
Dosti nibhatay nibhatay
Usse Mohabbat si ho gayi hay...