Showing posts with label Hijaab or Naqaab Poetry. Show all posts
Showing posts with label Hijaab or Naqaab Poetry. Show all posts

Friday 2 October 2015

Kisi kay dil main

Kisi kay dil main kia chuppa ha bas KHUDA janta ha
Dil agar baynaqaab hotay to socho kitnay fasaad hotay


Thursday 21 May 2015

Button say pardah

Button say pardah uthanay ki bahas hay baykaar
Khuli daleel hay Kaaba bhi bay naqaab nahi



Wednesday 8 October 2014

Dhaanp rahi thi wo khud ko anchal say

Dhaanp rahi thi wo khud ko anchal say baar baar
Bhala raat chupa sakti hay, hussan chaand ka


Friday 19 September 2014

Chehray ka nisf hissa

Chehray ka nisf hissa zair-e-naqaab kar kay
Hussan walay kartay hain deedar main milawat



Saturday 12 July 2014

Hasrat-e-deedar bhi kya cheez hay Dost

Hasrat-e-deedar bhi kya cheez hay  Dost 
Wo samnay aye to musalsal dekha bhi nai jata


Sunday 22 June 2014

Wo naqab kr k chehray par

Wo naqab kr k chehray par khud ko ishq say mehfoz samjhty rehay 
Nadan itna bi ni samjhay k ishq chehray say ni nazron say shuro hota hy



Tuesday 20 May 2014

Uthnay do aj pardon ko zara hum bhi to deikhain

Uthnay do aj pardon ko zara hum bhi to deikhain
Kon saa chaand chupa hay es naqaab kay pichay



Monday 12 May 2014

Tuesday 22 April 2014

Aye parda nasheen tum ko ye parda mubarak ho

Aye parda nasheen tum ko ye parda mubarak ho
Hum apnay tassawar main tasweer bana lain gain


Wednesday 2 April 2014

Main to fanna ho gaya

Main to fanna ho gaya naqaab main us ki ankhain deikh kar
Na janay wo shakhs rooz aayina kaisay deikhta hoga



Sunday 23 March 2014

Ho gai ap kay parday pay haya bhi qurbaan

Ho gai ap kay parday pay haya bhi qurbaan
Parda dari bhi hay our Dawwat-e-Deedar bhi hay



Thursday 6 March 2014

Dar lagta hay hum ko un ankhon say

Dar lagta hay hum ko un ankhon say 
Jo naqaab main rah kar hum pay waar karti hay


Tuesday 25 February 2014

Naqaab kia chupaaye ga Shabaab-e-Hussan ko

Naqaab kia chupaaye ga Shabaab-e-Hussan ko
Nighah-e-Ishq to pathar bhi cheer deti hay



Monday 24 February 2014

Ankhain, zulfain, jhumkay, chahra, kangan,Bindiya

Ankhain, zulfain, jhumkay, chehra, kangan, Bindiya
Haye dill haar gaye, hum tujhay bay naqaab deikh kar


Saturday 22 February 2014

Ankhain bta rahi hain... Tu bandaa haseen hay

Lab-o-Rukhsaar chupa rakhay hain tu nay Hijaab main
Ankhain bta rahi hain... Tu bandaa haseen hay