Showing posts with label Humsafar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Humsafar Poetry. Show all posts

Monday 22 June 2015

Tujhay piyar karte karte

Tujhay piyar karte karte yunhi umar beet jaye
Karon jo main bewafai mujhay mout bhi na aaye
Jo aitbaar ho to tum say yahi kahain gain
Tere dil main ghar bana kar teri bahon main rahe gain
Tumhe is kaddar main chahu jitna koi na chahay
Tumse shuro hoi hain mere piyar ki kahani
Tum pay nisaar kar don main apni Zindgani
Mera humsafar banay gain teri chahaton k Saaye
Tujhe piyar karte yarte yuhi umar beet jaye
Karu jo main bewafai mujhe mout bhi na aaye



Monday 12 May 2014

Saathi ho agar tum sa

Saathi ho agar tum sa, manzil ki tamanna kia
Hum ko safar piyara, manzil ka KHUDA hafiz



Saturday 3 May 2014

Nikla tha es omeed say kay kar lon tumhay talash

Nikla tha es omeed say kay kar lon tumhay talash
Tum nay to umar bhar ka musafir bana diya


Tuesday 25 March 2014

Aye phir na loat kar jo deewanay ho gaye

Humsafar bhi bichar gaye raastay bhi kho gaye
Aye phir na loat kar jo deewanay ho gaye


Sunday 23 March 2014

Aik saal our beet gaya usay dhondty usay khoojtay

Aik saal our beet gaya usay dhondty usay khoojtay
Aye Zindagi aik ahsaan kar, meray humsafar ka patta batta





Friday 14 March 2014

Yun chor kay raastay main na jaya karosaathi

Yun chor kay raastay main na jaya karo saathi
Kuch musaafiron ki manzil, humsafar hoti hay




Monday 3 March 2014

Bohat koshish ki magar fasla mitaa na saka

Bohat koshish ki magar fasla mitaa na saka
Main lamha bhar kay liye bhi us ko apna na saka
Yun to zindagi kay safar main kai humsafar milay hum ko
Lekin us ki tarah dil main koi ghar bana na saka



Saturday 22 February 2014

Manzil ki baat choro kis nay payi manzilain

Manzil ki baat choro kis nay payi manzilain
Ek safar acha laga ek Humsafar acha lagaa



Monday 17 February 2014

Inhi raaston nay jin pay kabhi tum thay saath meray

Inhi raaston nay jin pay kabhi tum thay saath meray
Mujhay rok rok pochaa tera humsafar kahan hay