Showing posts with label Rothna Poetry. Show all posts
Showing posts with label Rothna Poetry. Show all posts

Tuesday 7 July 2015

Nakaam thi meri sab koshishain

Nakaam thi meri sab koshishain us ko mananay ki
Pata nahi kahan se sekhi hy zalim nay adayain roth janay ki


Monday 22 June 2015

Zinda hay jab tak

Zinda hon jab tak mujh say naraaz mat hona
Marnay k baad tu main khud hi shikayat ka moqa nahi donga


Friday 27 June 2014

Mohabbat har Insaan ko ajmati hay

Mohabbat har Insaan ko ajmati hay
Kisi say roth jati hay kisi pay muskurati hay
Mohabat khail hi aisa hay
Kisi ka kuch nahi jata or kisi ki jaan hi chali jati hay


Tumhay jo bay sabbab mujh say khafa

Tumhay jo bay sabbab mujh say khafa honay ki addat hay
Ye Aaghaz-e-Judaai hay ya Andaaz-e-Mohabbat hay



Saturday 14 June 2014

Rothi thi jis gharoor say

Rothi thi jis gharoor say wo bhi to yaad kar
Ankhon main teri aj ye anso fazool hain



Monday 9 June 2014

Ye zabbt choot gaya to tumhari yaad ayi

Ye zabbt choot gaya to tumhari yaad ayi
Main thak kay toot gaya to tumhari yaad ayi
Tumhary baad na tha koi mera dill kay siwa
Ye dill bhi roth gaya to tumhari yaad ayi



Monday 19 May 2014

Main us shakhs ko kaisay manaoun faraz

Main us shakhs ko kaisay manaoun faraz
Jo mujh sat rotha hay meri mohabbat kay sabbab



Thursday 8 May 2014

Yun hum say rooth kar sonaa theek nahi

Yun hum say rooth kar sonaa theek nahi
Aik baar to yaad kar letay ta kay humay bhi neend a jaye



Wednesday 7 May 2014

Ye Wada hay hamara na chorain gay kabhi sath tumhara

Ye Wada hay hamara na chorain gay kabhi sath tumhara
Jo gaye tum hum say roth kar lay ayain gay pakr kar hath tumhara


Friday 4 April 2014

Besabab mujh say khafa honay ki aadat hay

Tumhay jo besabab mujh say khafa honay ki aadat hay
Ye aagaz e judai hay ya Andaz e muhabbat hay
Wafa k rung main dekho jafa achi nahi hoti
Kisi say dosti mai itni anaa achi nahi hoti
Faqat kehnay ki baatain hain nibhata kon hay kisko
Chalo ab dekh letay hain manata kon hay kisko


Thursday 27 March 2014

Meri band ankhoin ka sacha khwuab ho tum

Meri band ankhoin ka sacha khwuab ho tum
Meri tanhaiyon Kay sawalon ka jawab ho tum
Ab to duniya bhi roth jaye to gum na hoga
Meri duniya, kayinaat mera Chaand ho tum


Tuesday 25 March 2014

Wo anna parast sahi uski baton main ikrar bhi tha

Wo anna parast sahi uski baton main iqraar bhi tha
Uskay chubhtay huway lahjay main chupa piyar bhi tha
Wo mujhay likhta hay k muntazir na rahon lekin
Us ki tehreer main sadiyon ka intizar bhi tha
Wo kehta hay mat rutho kay mananna nahi ata
Meri narazgi pay lekin wo bay qaraar bhi tha


Roothna khafa rahna ye Wafa nahi hoti

Roothna khafa rahna ye Wafa nahi hoti
Chahton main logon say kiya khata nahi hoti
Sab ko aik jaisa kiun tum samjhne lagte ho
Kiun kay sari duniya to Bbawaffa nahi


Tuesday 25 February 2014

Jab mohabbat hi nahi darmiaan

Jab mohabbat hi nahi darmiaan 
Wo ruthain kia, hum manayain kia


Friday 7 February 2014

Ab jo Rotho gay, haar jao gay

Ab jo Rotho gay, haar jao gay
Hum mananay kay gurr, Bhula baithay



Sunday 12 January 2014

Roth jatay ho to kuch or haseen lagtay ho

Roth jatay ho to kuch or haseen lagtay ho
Hum nay ye soch kay hi tum ko khafa rakha hay



Thursday 9 January 2014

Roth janay ki Adda hum ko bhi ati hay

Roth janay ki Adda hum ko bhi ati hay
Kash hota koi hum ko bhi mananay wala


Saturday 4 January 2014

Yaadien aksar hoti hain satanay kay liye

Yaadein aksar hoti hain satanay kay liye
Koi rooth jaata hay phir maan jaanay kay liye
Rishtay nibhana koi mushkil to nahi
Bas dilon main piyar chahiye usay nibhanay kay liye


Friday 3 January 2014

Aag Dill main lagi jab wo khafa huway

Aag Dill main lagi jab wo khafa huway
Mehsoos huwa tab, jab wo juda huway
Kar kay Wafa kuch day na sakay wo
Par bhuhat kuch day gaye jab wo Bewafa huway


Thursday 2 January 2014

Na karo takraar, mujhay tumhara hi khayaal hay

Na karo takraar, mujhay tumhara hi khayaal hay
Phir baat say baat niklay gi, aur tum rooth jao gay