Showing posts with label December Poetry. Show all posts
Showing posts with label December Poetry. Show all posts

Tuesday 20 May 2014

Ye barish ye sard hawa ye hijar ka alam

Ye barish ye sard hawa ye hijar ka alam
Guman hota hay es bar December maar hi dalay ga


Monday 19 May 2014

Teri yaad ki baraf bari ka mossam

Teri yaad ki baraf bari ka mossam
Sulaggta raha dill kay andar akelay
Eraada tha jee lon ga tujh say bichar kar
Guzarta nahi aik December akalay


Friday 17 January 2014

Ye thahri hoi Shabay-E-Siyah or ye Hijar musalsal

Ye thahri hoi Shabay-E-Siyah or ye Hijar musalsal
Mohsin hijar kay maron pay Qayamat hay December


Thursday 9 January 2014

Ja raha hay to phir kia faida tera aye December

Ja raha hay to phir kia faida tera aye December
Na yar mila na piyaar mila or na dill ko qaraar mila


Tuesday 31 December 2013

Aao DECEMBER ko rukhsat karein

Aao DECEMBER ko rukhsat karein
Kuch Khushiyon ko sambhaal kar
Kuch ansuon ko taal kar
Jo lamhy guzray chahaton main
Jo pall beetay rafakaton main
Kabhi waqt kay saath chaltay chaltay
Jo thak kay rukay raaston main
Kabhi Khushiyon ki Umeed mili
Kabhi bichartay huon ki deed mili
Kabhi bay panah muskura diya
Kabhi hanstay hanstay ro diya
In saaray Lamhon Ko
Ab mukhtasir karain
Aao kay DECEMBER ko rukhsat karain


Agar jatay Wakt har koi Khush hota to

Agar jatay Wakt har koi Khush hota to
December na roota yun Barish ban kar


Sunday 29 December 2013

Raat chupkay say December nay yeh sargoshi ki

Raat chupkay say December nay yeh sargoshi ki
Phir say ik bar rulaa doon tujhay jatay jatay


Thandi thandi hawa chal pari hamaray Veranay main

Thandi thandi hawa chal pari hamaray Veranay main
Aandaaz bara zalim hay December tere janay ka


Tuesday 24 December 2013

Dicember k loat anay say farq parta hay ab kis ko

Dicember k loat anay say farq parta hay ab kis ko
Jo rishta Dill ka rishta ho, usay mosam say kia lena 



Sunday 15 December 2013

Teri Yaad or barf bari ka Musam sulagta raha Dill main akelay

Teri Yaad or barf bari ka Musam sulagta raha Dill main akelay
Socha tha jee lon ga tujh bin, Guzarta nahi ek December akelay


Kiun har baat pay kostay ho December ko

Kiun har baat pay kostay ho December ko
Kia december nay kaha tha Mohabbat kro


Thursday 12 December 2013

December kay anay say ho jatay hain Gham taza

December kay  anay say ho jatay hain Gham taza
 Bohat purana Rishta hay es ka Mohabbat say


Wednesday 4 December 2013

Main lotun ga December main

Main lotoo'n ga December main
December jab bhi ata hay wo pagli
Phr say beetay mausamon ki
Talkhiuon ko yaad karti hay



Monday 2 December 2013

Kanpta jisamteri soch k jazbay or December ki ye pehli raat

Kanpta jisam teri soch k jazbay or December ki ye pehli raat 
Kaafi hay hijar bhi zulm bhi tum bhi or tumhari Yaad bhi...


Sunday 1 December 2013

December ki ye pehli shaam hi kitni zaalim hay

December ki ye pehli shaam hi kitni zaalim hay
Aghaz-e-shaam say hi yaadon ka badal chaa gaya