Friday 21 March 2014

Us kay hathon main hina,paaon main Payal hogi

Us kay hathon main hina,paaon main Payal hogi
Aik deewar magar beach main hayal hogi
Us kay jalwoon kay bhohat pass main honga
Lakin wo kisi Or ki taqdeer ka hasil hogi
Surkh kaproon say sajay tar na meray hongay
Us ki ankhoon main meray Piyar ki jhilmil hogi
Jatay jatay wo mujhay piyaar say deikhay gi jab
Rotay roaty wo meri roh main shamil hogi
Mujh say wo door bhohat door chali jaye gi
Ya kahani bhi Sara-e-Bazzam mukammal hogi



No comments: