Monday 19 May 2014

Jaanay kis mossam main yeh baat ho gayi

Jaanay kis mossam main yeh baat ho gayi
Nazrain mili tum say phoolon ki barsaat ho gayi
Dharkan toh jaisay sargam ki taal ho gayi
Sappnon ki dharti khushiuon ka sansaar ho gayi
Chahat ki moujon main zindagi sawar ho gayi
Aaye piyaar main tofaan koi nazar teri patwaar ho gayi
Chana nan baaji payaliya yeh ras ki phuhaar ho gayi
Mathay ki bindiya sajan ka shringaar ho gayi


No comments: